Date: Sat 5 Sep 2026 /

5-Sep-2026 24-Rabi'al Awwal-1448

KIS KE JALWE KI JHALAK Lyrics (By Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri Radiyallahu Ta’ala Anho)

KIS KE JALWE KI JHALAK

 

Kis ke jalwe ki jhalak hai ye ujala kya hai
Har taraf deeda e hairat zadaa takta kya hai

 

Maang mann maanti muñh maañgi muraadeiñ le ga
Na yahaañ”Na”hai na mangta se ye kehna “Kya hai”

 

Hum haiñ un ke wo haiñ tere to huwe hum tere
Is se badh kar teri simt aur waseela kya hai

 

Un ki ummat meiñ banaaya unheiñ rehmat bheja
Yuñ na farma ke tera rehm meiñ da’awa kya hai

 

Sadqa pyare ki hayaa ka ke na le mujh se hisaab
Bakhsh be poochhe lajaaye ko lajaana kya hai

 

Zaahid un ka maiñ gunahgaar wo mere shaaf’e
Itni nisbat mujhe kya kam hai tu samjha kya hai

 

Kaash fariyaad meri sun ke ye farmaeiñ Huzoor
Haañ koi dekho ye kya shor hai goga kya hai

 

Kaun aafat zadaa hai kis pe balaa tooti hai
Kis museebat meiñ giraftaar hai sadma kya hai

 

Kis se kehta hai ke Lillah khabar lije meri
Kyuñ hai betaab ye be chaini ka rona kya hai

 

Is ki be chaini se hai khatir e aqdas pe malaal
Be kasi kaisi hai poochho koi guzra kya hai

 

Yuñ malaik kareiñ ma’rooz ke ek mujrim hai
Is se pursish hai bataa toone kiya kya kya hai

 

Saamna qaher ka hai daftar e aamaal hai pesh
Dar raha hai ke Khuda hukm sunaata kya hai

 

Aap se karta hai fariyaad ke yaa Shahe Rusul
Banda bekas hai shaha rehm meiñ waqfa kya hai

 

Ab koi dum meiñ giraftaar e balaa hota hooñ
Aap aa jaayeiñ to kya khauf hai khatka kya hai

 

Sun ke ye arz meri behr e karam josh meiñ aaye
Yuñ malaaik ko ho irshaad thaherna kya hai

 

Kis ko tum morid e aafaat kiya chahte ho
Hum bhi to aake zara dekheiñ tamaasha kya hai

 

Un ki aawaz pe kar uthooñ maiñ besakhta shor
Aur tadap kar ye kahooñ ab mujhe parwa kya hai

 

Lo wo aaya mera haami mera gam khwaare umam
Aa gayi jaañ taney be jaañ meiñ ye aana kya hai

 

Phir mujhe daaman-e-aqdas meiñ chhupa leiñ sarwar
Aur farmaayeiñ hato is pe taqaaza kya hai

 

Banda aazaad shuda hai ye hamaare dar ka
Kaisa lete ho hisaab is pe tumhara kya hai

 

Chhod kar mujh ko farishte kaheiñ mehkoom haiñ hum
Hukm e waala ki na taameel ho zohra kya hai

 

Ye samaañ dekh ke mehshar meiñ uthe shor ke waah
Chashm e baddoor ho kya shaan hai rutba kya hai

 

Sadqe is rehm ke is saaya e daaman pe nisaar
apne bande ko museebat se bachaaya kya hai

 

Aye RAZA Jaan e anaadil tere nagmoñ ke nisaar
Bulbule baag e Madina tera kehna kya hai

Advertisement Section

Scroll to Top

Moon Sighting

.