TALAB KA MUÑH TO KIS QAABIL HAI
Talab ka muñh to kis qaabil hai Ya Gaus
Magar tera karam kaamil hai Ya Gaus
Duhaai Ya Muhiyyaddeeñ duhaai
Balaa Islaam par naazil hai Ya Gaus
Wo sangeeñ bid’atein wo tezi e kufr
Ke sar par teg dil par sil hai Ya Gaus
Khudaara naakhuda aa de sahaara
Hawaa bigdi bhañwar haail hai Ya Gaus
Jila de deeñ jalaa de kufr o ilhaad
Ke tu muhyee hai tu qaatil hai Ya Gaus
Tera waqt aur pade yuñ deen par waqt
Na tu aajiz na tu gaafil hai Ya Gaus
Rahi haañ shaamate aamaal ye bhi
Jo tu chaahe abhi zaail hai Ya Gaus
Gayura apni gairat ka tasadduq
Wahi kar jo tere qaabil hai Ya Gaus
Khudaara marhame khaake qadam de
Jigar Zakhmi hai dil ghaail hai Ya Gaus
Na dekhuñ shakle mushkil tere aage
Koi mushkil si ye mushkil hai Ya Gaus
Tu quwwat de maiñ tanha kaam bisyar
Badan kamzor dil kaahil hai Ya Gaus
Adoo bad-deen mazhab wale haasid
Tuhi tanha ka zor e dil hai Ya Gaus
Hasad se un ke seene paak karde
Ke badtar diq se bhi ye sil hai Ya Gaus
Diya mujh ko Unheiñ mehroom chhoda
Mera kya jurm haq faasil hai Ya Gaus
Khuda se leiñ ladaai wo hai mo’ati
Nabi qaasim hai tu musil hai Ya Gaus
Ataayeiñ muqtadir Gaffaar ki haiñ
Abas bandoñ ke dil meiñ gil hai Ya Gaus
Tere baba ka phir tera karam hai
Ye muñh warna kisi qaabil hai Ya Gaus
Bharan wale tera jhaala to jhaala
Tera Chheeñta mera gaasil hai Ya Gaus
Sana Maqsood hai Arz e Garaz kya
Garaz ka aap to kaafil hai Ya Gaus
RAZA ka khaatima bil khair hoga
Teri Rehmat agar shaamil hai Ya Gaus
Post Views: 16