Date: Sat 5 Sep 2026 /

5-Sep-2026 24-Rabi'al Awwal-1448

WAHI RAB HAI JIS NE TUJH KO Lyrics (By Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri Radiyallahu Ta’ala Anho)

WAHI RAB HAI JIS NE TUJH KO

 

Wahi Rab hai jis ne tujhko hama tan karam banaaya
Hameiñ bheek maañgne ko tera aastaañ bataya
Tujhe Hamd hai khudaya

 

Tumhiñ Haakim e Baraya tumhi Qaasim e Ataaya
Tumhiñ daafa e balaya tumhi shaafa e khataaya
Koi tum sa kaun aaya

 

Woh kuñwaari paak mariyam woh nafakhtu feehi ka dum
Hai ajab nishaan e aazam magar aamina ka jaaya
Wahi Sab se afzal aaya

 

Yahi bole sidrah wale chaman e jahaañ ke thaale
Sabhi maine chhaan daale tere paaye ka na paaya
Tujhe ek ne ek banaya

 

Arey aye khuda ke bando! koi mere dil ko dhuñdo
Mere paas tha abhi to abhi kya huwa khudaya
Na koi gaya na aaya

 

Hameiñ aye RAZA tere dil ka pataa chala bamushkil
Dar e rauza ke muqaabil wo hameiñ nazar to aaya
Ye na poochh kaisa paaya

Advertisement Section

Scroll to Top

Moon Sighting

.