AASIYOÑ KO DAR TUMHARA MIL GAYA
Aasiyoñ ko dar tumhara mil gaya
Be thikanoñ ko thikana mil gaya
Fazl e Rab se phir kami kis baat ki
Mil gaya sab kuchh jo taiba mil gaya
Nakhudaai ke liye aaye Huzoor
Doobto niklo sahara mil gaya
Aañkheiñ purnam hogayiñ sar jhuk gaya
Jab tera naqsh e kaf e paa mil gaya
Khuld kaisa kya chaman kiska watan
Mujh ko sehra e Madina mil gaya
Hai Mohabbat kis qadar naam e Khuda
Naam e Haq se Naam e waala mil gaya
Un ke taalib ne jo chaha paa liya
Un ke saail ne jo maanga mil gaya
Tere dar ke tukde haiñ aur maiñ gareeb
Mujh ko rozi ka thikana mil gaya
Aye HASAN firdaus meiñ jayeiñ janaab
Hum ko sehra e Madina mil gaya
Post Views: 16