AISA TUJHE KHALIQ NE TARAHDAAR BANAYA
Aisa tujhe khaaliq ne tarahdaar banaya
Yusuf ko tera taalib e deedaar banaya
Tal’at se zamana ko pur anwaar banaya
Nikhat se gali kuchoñ ko gulzaar banaya
Kaunain banaaye gaye Sarkaar ki khaatir
Kaunain ki khaatir tumheiñ Sarkaar banaya
Kunji tumheiñ di apne khazaanoñ ki khuda ne
Mehboob kiya maalik o mukhtaar banaya
Allah ki rehmat hai ke aise ki ye qismat
Aasi ka tumheiñ haami o gamkhwaar banaya
Aalam ke salaateen bhikaari haiñ bhikaari
Sarkaar banaya tumheiñ Sarkaar banaya
Lillaah karam mere bhi veerana e dil par
Sehra ko tere husn ne gulzaar banaya
Allah Ta’ala bhi huwa us ka tarafdaar
Sarkaar tumheiñ jis ka tarafdaar banaya
Gulzaar e jinaañ tere liye haq ne banaye
Apne liye tera gul e rukhsaar banaya
Be yaaro madadgaar jinheiñ koi na poochhe
Aisoñ ka tujhe yaaro madadgaar banaya
Har baat bad a’amaaliyoñ se maine bigaadi
Aur tum ne meri bigdi ko har baar banaya
Un ke labe rangeeñ ki nichhaawar thi wo jis ne
Patthar meiñ HASAN la’al e pur anwaar banaya
Post Views: 21