ALLAH SE KYA PYAR HAI
Allah se kya pyar hai Usman e Gani ka
Mehboobe khuda yaar hai Usman e Gani ka
Rangeen wo rukhsaar hai Usman e Gani ka
Bulbul gul e gulzaar hai Usman e Gani ka
Garmi pe ye baazaar hai Usman e Gani ka
Allah kharidaar hai Usman e Gani ka
Sarkaar ataa paash hai Usman e Gani ka
Darbaare durarbaar hai Usman e Gani ka
Jis aaina meiñ Noor e Ilahi nazar aaye
Wo aaina e rukhsaar hai Usman e Gani ka
Sarkaar se paayenge muraadoñ pe muraadeiñ
Darbaar ye durbaar hai Usman Gani ka
Aazaad giraftaar e balaaye do jahaañ hai
Aazaad giraftaar hai Usman e Gani ka
Allahu Gani hadd nahiñ in’aam o ataa ki
Wo faiz pe darbaar hai Usman e Gani ka
Ruk jaayeiñ mere kaam HASAN ho nahiñ sakta
Faizaan madadgaar hai Usman e Gani ka
Post Views: 15