Date: Mon 10 Aug 2026 /

10-Aug-2026 27-Safar-1448

SUNLO KHUDA KE WAASTE Lyrics (By Ustad e Zaman Allama Hasan Raza Khan Bareilvi)

SUNLO KHUDA KE WAASTE

 

Sunlo khuda ke waaste apne gadaa ki arz
Ye arz hai huzoor bade be nawaa ki arz

 

Unke gadaa ke dar pe hai yuñ baadshaah ki arz
Jaise ho baadshaah ke dar par gadaa ki arz

 

Qurbaan un ke naam ke be un ke naam ke
Maqbool ho na khaas e janaab e Khuda ki arz

 

Gum ki ghataayeiñ chhaayi hai mujh teera bakht par
Aye mehr sun le zarra e bedast o paa ki arz

 

Aye bekasoñ ke haami o yaawar siwa tere
Kis ko garaz hai kaun sune mubtala ki arz

 

Dukh meiñ rahe koi ye gavaara nahiñ unheiñ
Maqbool kyuñ na ho dil e dard aashna ki arz

 

Kyuñ tul duñ Huzoor ye deiñ ye ata kareiñ
Khud jaante haiñ aap mere mudda’aa ki arz

 

Daaman bharenge daulat e fazl e khuda se hum
Khaali kabhi gayi hai HASAN, MUSTAFA ki arz

Advertisement Section

Scroll to Top

Moon Sighting

.