TUM ZAAT E KHUDA SE
Tum zaat e khuda se na juda ho na Khuda ho
Allah ko ma’loom hai kya jaaniye kya ho
Ye kyuñ kahooñ mujh ko ye ataa ho ye ataa ho
Wo do ke hamesha mere ghar bhar ka bhalaa ho
Mitti na ho barbaad pasey marg Ilaahi
Jab khaak udey meri Madina ki hawaa ho
Mangta to hai mangta koi shaahoñ meiñ dikha de
Jis ko mere Sarkaar se tukda na mila ho
Har waqt karam banda nawazi pe tula hai
Kuchh kaam nahi is se bura ho ke bhalaa ho
Abraar neko kaar Khuda ke haiñ Khuda ke
Unka hai wo unka hai jo bad ho jo bura ho
Shaabaash HASAN aur chamakti si gazal padh
Dil khol kar aaina e Imaañ ki jila ho
Post Views: 19