MURADEIÑ MIL RAHI HAIÑ SHAAD SHAAD UN KA SAWAALI HAI
Muradeiñ mil rahi haiñ shaad shaad unka sawaali hai
Laboñ par ilteja hai haath meiñ Rauze ki jaali hai
Teri soorat teri seerat zamaane se niraali hai
Teri har har adaa pyaare daleel e bemisaali hai
Bashar ho ya malak jo hai tere dar ka sawaali hai
Teri sarkaar waalaa hai tera darbaar aali hai
Wo haiñ Allaah waale jo tujhe waali kaheiñ apna
Ke tu Allaah waala hai tera Allaah waali hai
Faqeero be nawaao apni apni jholiyaañ bhar lo
Ke baada bat raha hai faiz par Sarkaar e aali hai
Nikaala kab kisi ko bazm e faiz e aam se tum ne
Nikaali hai to aane waaloñ ki hasrat nikaali hai
Faqat itna sabab hai in’eqad e bazm e mehshar ka
Ke un ki shaane mehboobi dikhaai jaane waali hai
Khuda shaahid ke roz e hashr ka khatka nahiñ rehta
Mujhe jab yaad aata hai ke mera kaun waali hai
Sharaf Makka ki basti ko mila Taiba ki basti se
Nabi waali hi ke sadqe meiñ wo Allaah waali hai
Wahi waali wahi aaqa wahi waaris wahi Maula
Maiñ un ke sadqe jaooñ aur mera kaun waali hai
Muraadoñ se tumhiñ daaman bharoge na muraadoñ ke
Gariboñ bekasoñ ka aur pyaare kaun waali hai
Hamesha tum karam karte ho bigde haal waaloñ par
Bigad kar meri haalat ne meri bigdi banaali hai
Tumhare dar tumhare aastaañ se maiñ kahaañ jaaooñ
Na mujh sa koi bekas hai na tum sa koi waali hai
HASAN ka dard dukh mauqoof farmaakar bahaali do
Tumhare haath meiñ duniya ki mauqoofi bahaali hai
Post Views: 25