KAUN KEHTA HAI AAÑKHEIÑ
Kaun kehta hai aañkheiñ churaakar chale
Kab kisi se nigaaheiñ bachaakar chale
Kaun un se nigaaheiñ ladaakar chale
Kis ki taaqat jo aañkheiñ milaakar chale
Wo haseeñ kya jo fitne uthaakar chale
Haañ haseeñ tum ho fitne mitaakar chale
Rab ke bandoñ ko Rab se milaakar chale
Jalwa e haq wo hum ko dikhaakar chale
Koi maane na maane ye wo jaan le
Seedha rastaa wo sab ko bataakar chale
Jis ka saani huwa aur na hai aur na ho
Wo ataa kar chale wo sakhaa kar chale
Jism e pur noor ka yuñ to saaya na tha
Aur patthar meiñ naqsha jamaakar chale
Daag e dil hum ne NOORI dikha hi diya
Dard e dil ka fasaana sunaakar chale
Post Views: 29