SHAAHE WALA MUJHE TAIBA BULALO
Shaahe wala mujhe taiba bulalo
Taiba bulalo mujhe taiba bulalo
Devdhi ka apni kutta banalo
Qadmon se apne mujh ko lagalo
Sadqe meiñ sadqe meiñ sadqe bulalo
Furqat ke maare ko pyare jilalo
Pyare jilalo mujhe pyare jilalo
Maula Jilalo mujhe aaqa jilalo
Duniya ke jhagdoñ se yaksar chhudaakar
Gairoñ ki ulfat ko dil se mitaakar
Shaahe wala mujhe apna banalo
Apna banalo mujhe apna banalo
Nekoñ ke sadqe meiñ hum se badoñ ko
Zaaro nazaaro museebat zadoñ ko
Maula nibhaalo mere maula nibhalo
Haañ haañ nibhaalo mere maula nibhaalo
Hotey ho tum kyuñ maayoos o muztar
Kis waastey ho hairaan o shashdar
Dukh dard walo suno dukh dard walo
Taiba se har ek apni dawa lo
Ankhoñ meiñ aao dil meiñ samaao
Parda uthao jalwa dikhao
Hasrat zadaa ki pyare dua lo
Hasrat nikalo meri hasrat nikalo
Dolat hai nayya mori bhañvar meiñ
Maula tiraao aike najar meiñ
Mori khabariya morey piya lo
Moko bachalo piya moko bachalo
Taaib hoñ najdi aaib hoñ najdi
Aur ye na ho to khaaib hoñ najdi
Gaaib hoñ najdi maula nikalo
Jaldi nikalo inheiñ jaldi nikalo
Ye NOORI muztar tera sanaagar
Aur is ka ghar bhar ho haazir-e-dar
Apne gadaagar ko dar par bulalo
Amn o amaañ se hameiñ sarwar bulalo
Post Views: 5