TAJALLI E NOOR E QIDAM
Tajalli e Noor e Qidam Gaus e Aazam
Ziyaa e Siraajuz Zulam Gaus e Aazam
Tera hil hai tera haram Gaus e Aazam
Arab tera tera ajam Gaus e Aazam
Karam aap ka hai a’am Gaus e Aazam
Inaayat Tumhaari atam Gaus e Aazam
Mukhaalif ho go sau padam Gaus e Aazam
Hameiñ kuchh nahiñ is ka gam Gaus e Aazam
Chala aisi teg e dodum Gaus e Aazam
Ke a’ada ke sar hoñ qalam Gaus e Aazam
Wo ek waar ka bhi na hoga tumhare
Kahaañ hai mukhaalif meiñ dum Gaus e Aazam
Tere hote hum par sitam dhaayeñ dushman
Sitam hai sitam hai sitam Gaus e Aazam
Badhe hausle dushmanoñ ke ghataa de
Zaraa lele teg e dodum Gaus e Aazam
Nahiñ laata khatre meiñ Shaahoñ ko shaaha
Tera banda e be diram Gaus e Aazam
Karam chaahiye tera, tere Khuda ka
Karam Gaus e Aazam karam Gaus e Aazam
Badhaa haath kar dastagiri hamari
Badhaa abre gam dum badum Gaus e Aazam
Khudaara zaraa haath seene pe rakhdo
Abhi mit-te haiñ gam alam Gaus e Aazam
Hai qismat meri tedhi Tum seedhi kardo
Nikal jaayeiñ sab pech o kham Gaus e Aazam
Khabar lo hamaari ke hum haiñ tumhare
Karo hum pe fazl o karam Gaus e Aazam
Kuchh aisa gumaade Mohabbat meiñ apni
Ke khud keh uthooñ maiñ manam Gaus e Aazam
Khuda rakhe tumko humare saroñ par
Hai bas ek tumhara hi dum Gaus e Aazam
Dum e naz’a sirhaane aajao pyaare
Tumheiñ dekh kar nikle dum Gaus e Aazam
Dum e naz’a aao ke dum aaye dum meiñ
Karo hum pe Yaaseen dum Gaus e Aazam
Yeh dil ye jigar hai ye aankheiñ ye sar hai
Jahaañ chaaho rakho qadam Gaus e Aazam
Lagaalo mere sarko qadmoñ se apne
Tumheiñ sirre haq ki qasam Gaus e Aazam
Karam se kiya rehnuma rehzanoñ ko
Idhar bhi nigaahe karam Gaus e Aazam
Mere dum ko us ke dumoñ se bachaade
Karam kar karam kar Karam Gaus e Aazam
Na palla ho halka hamara na hum hoñ
Na bigde hamara bharam Gaus e Aazam
Hamari Khataaoñ se daftar bhare haiñ
Karam kar ke hoñ kal ‘adam Gaus e Aazam
Tumhare karam ka hai NOORI bhi pyaasa
Miley yam se is ko bhi nam Gaus e Aazam
Post Views: 12