AYE SABA LE JA MADINE KO PAYAAM
Aye Saba le ja Madine ko payaam
Arz karde un se baa sad Ehteraam
Aye Makeen e Gumbad e Khazra Salaam
Aye Shakeb e har dil e Shaida Salaam
Ab Madine meiñ mujhe bulwaaiye
Apne bekas par karam farmaaiye
Bulbul e bey par pe ho jaaye karam
Aashiyanash deh ba Gulzaar e Haram
Hind ka jungle mujhe bhaata nahiñ
Bas gayi Aañkhoñ meiñ Taiba ki Zameeñ
Zindagi ke haiñ Madine meiñ mazey
Aish jo chaahe Madine ko chaley
Zindagi ke haiñ Madine meiñ mazey
Aish jo chahe Madine meiñ marey
Khuld ki khaatir Madina chhord duñ
Eiñ khayalast o muhalast o Junooñ
Khuld ke taalib se keh do be gumaañ
Taalib e Taiba ki taalib hai jinaañ
Mujh se pehle mera dil haazir huwa
Ardh-e-Taiba kis qadar hai dilruba
Kitni raushañ hai yahaañ har ek shab
Har taraf hai taabish e Maahe Arab
Kya Madina ko Zuroorat chaand ki
Maahe Taiba ki hai har soo chaandni
Noor wale Saahib e Me’araaj haiñ
Mehr o Mah in ke sabhi mohtaaj haiñ
Aye khusha bakht e rasa e AKHTARAT
Baaz aawurdi gadaaraa bar darat
Post Views: 48