BUL HAWAS SUN SEEM O ZAR KI
Bul hawas sun seem o zar ki bandagi achchhi nahiñ
Un ke dar ki bheek achchhi sarwari achchhi nahiñ
Sarwari kya cheez hai Un ki gadaai ke huzoor
Un ke dar ki bheek achchhi sarwari achchhi nahiñ
Un ki chaukhat choom kar khud keh rahi hai sarwari
Un ke dar ki bheek achchhi sarwari achchhi nahiñ
Sarwari khud hai bhikaaran bandgaane shah ki
Un ke dar ki bheek achchhi sarwari achchhi nahiñ
Sarwari paakar bhi kehte haiñ gadaayaan e Huzoor
Un ke dar ki bheek achchhi sarwari achchhi nahiñ
Taaj ko kaasaa banaakar taajwar kehte haiñ yuñ
Un ke dar ki bheek achchhi sarwari achchhi nahiñ
Mufti-e-Aazam yakey az mardumaane Mustafa
Is Raza e Mustafa se dushmani achchhi nahiñ
Khaak e Taiba ki talab meiñ khaak ho ye zindagi
Khaak e Taiba achchhi apni zindagi achchhi nahiñ
Dasht e Taiba chhord kar maiñ sair e jannat ko chaluñ
Rehne deeje shaikh ji diwaangi achchhi nahiñ
Jo Junoon e khuld meiñ kawwoñ ko de baithe dharam
Aise andhe Shaikh ji ki pairwi achchhi nahiñ
Aql chaupaayoñ ko de baithe Hakeem e Thaanvi
Maiñ na kehta tha ke sohbat dev ki achchhi nahiñ
Jo piya ko bhaaye AKHTAR wo suhaana raag hai
Jis se na khush hoñ piya wo raagni achchhi nahiñ
Post Views: 80